Asiran-e-qafas Aisa To Ho Tarz-e-fughan Apna

asiran-e-qafas aisa to ho tarz-e-fughan apna

ki ho sayyaad KHud bhi rafta rafta ham-zaban apna

kiye ja kaam han ai gardish-e-daur-e-zaman apna

hamein bhi dekhna hai kaise miTta hai nishan apna

adu hain bijliyan apni na dushman aasman apna

hamein KHud apne hathon phunkte hain aashiyan apna

na kho de sust-gami hum ko bazi-gah-e-hasti mein

na gard-e-karwan rah jae ban kar karwan apna

chaman ke patte patte par hain yarab bijliyan qabiz

kahan le jaen murghan-e-chaman ab aashiyan apna

urus-e-manzil-e-maqsud mil hi jaegi ek din

yunhi chande raha garja wo paima karwan apna

jala den hum qafas ki titliyan shoala-nawai se

har ek murgh-e-chaman 'asi' agar ho ham-zaban apna

(1195) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asiran-e-qafas Aisa To Ho Tarz-e-fughan Apna In English By Famous Poet Aasi Ramnagri. Asiran-e-qafas Aisa To Ho Tarz-e-fughan Apna is written by Aasi Ramnagri. Read famous Poem Asiran-e-qafas Aisa To Ho Tarz-e-fughan Apna for youth and Student by Aasi Ramnagri. Free Download Asiran-e-qafas Aisa To Ho Tarz-e-fughan Apna in PDF.