Di Gai Tartib-e-bazm-e-kun-fakan Mere Liye

di gai tartib-e-bazm-e-kun-fakan mere liye

ye zamin mere liye hai aasman mere liye

didani hai KHud hi apne dil ke zaKHmon ki bahaar

hech hai rangini-e-har-gulsitan mere liye

zauq-e-sajda chahiye kaisa haram kaisi kunisht

aastan-e-dost hai har aastan mere liye

jada-e-mehr-o-wafa mein mar ke zinda ho gaya

maut hai meri hayat-e-jawidan mere liye

azm-e-kaamil ko mere har-gam par manzil mili

ban gain dushwariyan aasaniyan mere liye

ho mubarak hazrat-e-zahid ko firdaus-e-jinan

hai dayar-e-dost KHuld-e-jawedan mere liye

ham-nawaon ko mubarak halqa-e-zulf-e-butan

muztarib zindan mein hongi beDiyan mere liye

(1359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Di Gai Tartib-e-bazm-e-kun-fakan Mere Liye In English By Famous Poet Aasi Ramnagri. Di Gai Tartib-e-bazm-e-kun-fakan Mere Liye is written by Aasi Ramnagri. Read famous Poem Di Gai Tartib-e-bazm-e-kun-fakan Mere Liye for youth and Student by Aasi Ramnagri. Free Download Di Gai Tartib-e-bazm-e-kun-fakan Mere Liye in PDF.