Gham Ko Sabaat Hai Na KHushi Ko Qarar Hai

gham ko sabaat hai na KHushi ko qarar hai

jo kal tha KHanda-rez wo aaj ashk-bar hai

kahti hai os phul se o be-KHud-e-nashat

ru-e-KHizan bhi zer-e-hijab-e-bahaar hai

jab tak jali jala ki hawa aai bujh gai

ye zindagi bhi sham-e-sar-e-rah-guzar hai

jis ka nafas ki aamad-o-shud par madar ho

aisi hayat ka bhi koi eatibar hai

ek main hi bad-nasib hun mahrum-e-imbisat

duniya ke lab pe zikr bahaaron ka rahe

apni bahaar waqf-e-KHizan ho chuki to ho

har-su jo shor-e-amad-e-fasl-e-bahaar hai

'asi' tarab-kada tha kabhi ye dil-e-hazin

ai wae aaj hasrat-o-gham ka mazar hai

(1205) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ko Sabaat Hai Na KHushi Ko Qarar Hai In English By Famous Poet Aasi Ramnagri. Gham Ko Sabaat Hai Na KHushi Ko Qarar Hai is written by Aasi Ramnagri. Read famous Poem Gham Ko Sabaat Hai Na KHushi Ko Qarar Hai for youth and Student by Aasi Ramnagri. Free Download Gham Ko Sabaat Hai Na KHushi Ko Qarar Hai in PDF.