Aankhon Ko Naqsh-e-pa Tera Dil Ko Ghubar Kar Diya

aankhon ko naqsh-e-pa tera dil ko ghubar kar diya

hum ne wida-e-yar ko apna hisar kar diya

is ki chhuwan se jal uTha mere badan ka rom rom

mujh ko to dast-e-yar ne jaise chinar diya

kis ke badan ki narmiyan hathon ko gudguda gain

dasht-e-firaq-e-yar ko pahlu-e-yar kar diya

ab ke to mujh pe is tarah saqi hua hai mehrban

sare dukhon ko chum kar mai ka KHumar kar diya

mana suKHan teri ata phir bhi kamal hai mera

main ne tere jamal ko rashk-e-bahaar kar diya

mujh se gila baja magar tum bhi kabhi ye sochna

mujh ko ana ke raKHsh par kis ne sawar kar diya

zulmat-e-hijr mein sada us ne diya hai hausla

ab ke magar bujha diya us ne bhi haar kar diya

(1223) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ko Naqsh-e-pa Tera Dil Ko Ghubar Kar Diya In English By Famous Poet Aatif Waheed 'Yasir'. Aankhon Ko Naqsh-e-pa Tera Dil Ko Ghubar Kar Diya is written by Aatif Waheed 'Yasir'. Read famous Poem Aankhon Ko Naqsh-e-pa Tera Dil Ko Ghubar Kar Diya for youth and Student by Aatif Waheed 'Yasir'. Free Download Aankhon Ko Naqsh-e-pa Tera Dil Ko Ghubar Kar Diya in PDF.