Rahzanon Ke Hath Sara Intizam Aaya To Kya

rahzanon ke hath sara intizam aaya to kya

phir wafa ke mujrmon mein mera nam aaya to kya

mere qatil tujh ko aaKHir kaun samjhae ye baat

par-shikasta ho ke koi zer-e-dam aaya to kya

phir wo bulwaya gaya hai karbala-e-asr mein

kufiyon ko phir se shauq-e-ehtimam aaya to kya

kho chuki sari basirat so chuke ahl-e-kitab

aasmanon se koi taza payam aaya to kya

jab ki un aankhon ki mashal baam par raushan nahin

shahr mein yasir koi mah-e-tamam aaya to kya

(1059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahzanon Ke Hath Sara Intizam Aaya To Kya In English By Famous Poet Aatif Waheed 'Yasir'. Rahzanon Ke Hath Sara Intizam Aaya To Kya is written by Aatif Waheed 'Yasir'. Read famous Poem Rahzanon Ke Hath Sara Intizam Aaya To Kya for youth and Student by Aatif Waheed 'Yasir'. Free Download Rahzanon Ke Hath Sara Intizam Aaya To Kya in PDF.