Sitam Ko Un Ka Karam Kahen Hum Jafa Ko Mehr-o-wafa Kahen Hum

sitam ko un ka karam kahen hum jafa ko mehr-o-wafa kahen hum

zamana is baat par ba-zid hai ki narawa ko rawa kahen hum

kuchh aisa sauda hai sab ke sar mein mizaj bigDe hue hain sab ke

koi bhi sunta nahin kisi ki kahen kisi se to kya kahen hum

ye sari baaten hain dar-haqiqat hamare aKHlaq ke munafi

sunen burai na hum kisi ki na KHud kisi ko bura kahen hum

na jaane hum se hai kya tawaqqo? nahin kisi tarah jaan-baKHshi

zamana is pe bhi mo'tariz hai agar KHuda ko KHuda kahen hum

hamari aahen bhi be-asar hain hamare nale bhi na-rasa hain

wo dard jis ka na ho mudawa use na kyun la-dawa kahen hum

na din ko hai kuchh sukun mayassar na shab ko aati hai nind hum ko

yahi mohabbat ki ibtida hai to phir kise intiha kahen hum

yahi taqaza hai maslahat ka isi mein hai aafiyat bhi 'atish'

kisi se dil ko jo ranj pahunche use KHuda ki raza kahen hum

(1155) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Ko Un Ka Karam Kahen Hum Jafa Ko Mehr-o-wafa Kahen Hum In English By Famous Poet Aatish Bahawalpuri. Sitam Ko Un Ka Karam Kahen Hum Jafa Ko Mehr-o-wafa Kahen Hum is written by Aatish Bahawalpuri. Read famous Poem Sitam Ko Un Ka Karam Kahen Hum Jafa Ko Mehr-o-wafa Kahen Hum for youth and Student by Aatish Bahawalpuri. Free Download Sitam Ko Un Ka Karam Kahen Hum Jafa Ko Mehr-o-wafa Kahen Hum in PDF.