Apne Apne SuraKHon Ka Dar

nai saDkon ke naqshe kar-KHane

unche unche pul mere mansube dekho aur kitabon mein paDho

us ne kaha mere badan par hath bhi phero

magar suraKH se ungli alag rakkho

magar us ke badan par har taraf suraKH hi suraKH hain

ungli alag rakkho!

to kya main ungliyon ko toD dun?

main ungliyon ko toD dun?

phir kaun tere husn ki tafsir likkhega? bata!

phir ye tasalsul raat din ka

chand suraj ka akele mausamon ka

masalon aur mushkilon ka

kaise TuTega? bata!

us ne hamein ek dusre se chhup ke rahne ke liye

kapDe diye aur KHubsurat ghar diye

aur band kamron mein zaminon aasmanon ki sabhi sachchaiyan kahne aur un

par bahs karne aur mansube banane ki khuli aazadi di

yaro! chalo saDkon pe nange sair karne jaen

shayad rasm chal nikle

magar mere qabile ka koi bhi mard

kapDe phaD kar ghar ko jala ke

nangi nangi baaten kahne ke liye bahar na nikla

sab ko apne apne suraKHon ka Dar tha

(1193) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Apne SuraKHon Ka Dar In English By Famous Poet Abbas Athar. Apne Apne SuraKHon Ka Dar is written by Abbas Athar. Read famous Poem Apne Apne SuraKHon Ka Dar for youth and Student by Abbas Athar. Free Download Apne Apne SuraKHon Ka Dar in PDF.