Zamin Un Ke Liye Phul Khilati Hai

jab aag jali naf ke niche to zamin phail gai

aag jali aur badan phail gae

aankhon ki aawargi be-rang hui

dhup hawa chandni

sab bastiyon mein KHak uDi

qafile hi qafile the

qafile jo dard ke watanon se chale

chalte gae ajnabi KHushbu ki taraf

us ki taraf jis ke liye sari kitabon mein likha hai

wo kabhi hath nahin aati kabutaron se chaTati hai

magar raat ke darwaze pe pahunche to sitare na mile

log abhi subh ki ummid mein shab kaTte hain

log dukhi log akele hain

unhen rasta do sine se chimTa lo

har ek raste mein jalti hui aag bujha do ki badan

phailte jate hain zamin tang hui jati hai

jo aag bujhane ke liye aae the

sab KHak hue lauT nahin pae

hawa un ke liye dastaken deti hai

zamin un ke liye phul khilati hai

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Un Ke Liye Phul Khilati Hai In English By Famous Poet Abbas Athar. Zamin Un Ke Liye Phul Khilati Hai is written by Abbas Athar. Read famous Poem Zamin Un Ke Liye Phul Khilati Hai for youth and Student by Abbas Athar. Free Download Zamin Un Ke Liye Phul Khilati Hai in PDF.