Apne Hi KHun Se Is Tarah Adawat Mat Kar

apne hi KHun se is tarah adawat mat kar

zinda rahna hai to sanson se baghawat mat kar

sikh le pahle ujalon ki hifazat karna

shama bujh jae to aandhi se shikayat mat kar

sar ki bazar-e-siyasat mein nahin hai qimat

sar pe jab taj nahin hai to hukumat mat kar

KHwab ho jam ho tara ho ki mahbub ka dil

TuTne wali kisi shai se mohabbat mat kar

dekh phir dast-e-zarurat mein na bik jae zamir

zar ke badle mein usulon ki tijarat mat kar

pursish-e-haal se ho jaenge phir zaKHm hare

is se behtar hai yahi meri ayaadat mat kar

sar jhukane ko hi sajda nahin kahte 'dana'

jis mein dil bhi na jhuke aisi ibaadat mat kar

(1533) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hi KHun Se Is Tarah Adawat Mat Kar In English By Famous Poet Abbas Dana. Apne Hi KHun Se Is Tarah Adawat Mat Kar is written by Abbas Dana. Read famous Poem Apne Hi KHun Se Is Tarah Adawat Mat Kar for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Apne Hi KHun Se Is Tarah Adawat Mat Kar in PDF.