Zarf Se BaDh Ke Ho Itna Nahin Manga Jata

zarf se baDh ke ho itna nahin manga jata

pyas lagti hai to dariya nahin manga jata

chand jaisi bhi ho beTi kisi muflisi ki to

unche ghar walon se rishta nahin manga jata

dosti kar ke hawa se jo jala den ghar ko

un charaghon se ujala nahin manga jata

apne kamzor buzurgon ka sahaara mat lo

sukhe peDon se to saya nahin manga jata

peT bharte hain jo mange hue TukDe kha kar

un ke hathon se niwala nahin manga jata

bhik bhi mango to tahzib ka kasa le kar

hath phaila ke KHazana nahin manga jata

hai ibaadat ke liye shart aqidat 'dana'

bandagi ke liye sajda nahin manga jata

(2103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zarf Se BaDh Ke Ho Itna Nahin Manga Jata In English By Famous Poet Abbas Dana. Zarf Se BaDh Ke Ho Itna Nahin Manga Jata is written by Abbas Dana. Read famous Poem Zarf Se BaDh Ke Ho Itna Nahin Manga Jata for youth and Student by Abbas Dana. Free Download Zarf Se BaDh Ke Ho Itna Nahin Manga Jata in PDF.