Lamha-dar-lamha Teri Rah Taka Karti Hai

lamha-dar-lamha teri rah taka karti hai

ek khiDki teri aamad ki dua karti hai

silwaTen chiKHti rahti hain mere bistar ki

karwaTon mein hi meri raat kaTa karti hai

waqt tham jata hai ab raat guzarti hi nahin

jaane diwar-ghaDi raat mein kya karti hai

chand khiDki mein jo aata tha nahin aata ab

tirgi chaaron taraf raqs kiya karti hai

mere kamre mein udasi hai qayamat ki magar

ek taswir purani si hansa karti hai

(3195) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha-dar-lamha Teri Rah Taka Karti Hai In English By Famous Poet Abbas Qamar. Lamha-dar-lamha Teri Rah Taka Karti Hai is written by Abbas Qamar. Read famous Poem Lamha-dar-lamha Teri Rah Taka Karti Hai for youth and Student by Abbas Qamar. Free Download Lamha-dar-lamha Teri Rah Taka Karti Hai in PDF.