Chand Ka Patthar Bandh Ke Tan Se Utri Manzar-e-KHwab Mein Chup

chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup

chiDiyan dur sidhaar gain aur Dub gai talab mein chup

lafzon ke baTware mein is chiKH-bhare gahware mein

bol to hum bhi sakte hain par shamil hai aadab mein chup

pahle to chaupal mein apna jism chaTaKHta rahta tha

chal nikli jab baat safar ki phail gai aasab mein chup

ab to hum yun rahte hain is hijr-bhare virane mein

jaise aankh mein aansu gum ho jaise harf kitab mein chup

apni aahaT ko bhi apne sath nahin le jate wo

teri rah pe chalne wale rakhte hain asbab mein chup

(1587) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ka Patthar Bandh Ke Tan Se Utri Manzar-e-KHwab Mein Chup In English By Famous Poet Abbas Tabish. Chand Ka Patthar Bandh Ke Tan Se Utri Manzar-e-KHwab Mein Chup is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Chand Ka Patthar Bandh Ke Tan Se Utri Manzar-e-KHwab Mein Chup for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Chand Ka Patthar Bandh Ke Tan Se Utri Manzar-e-KHwab Mein Chup in PDF.