Dahan Kholengi Apni Sipiyan Aahista Aahista

dahan kholengi apni sipiyan aahista aahista

guzar dariya se ai abr-e-rawan aahista aahista

lahu to ishq ke aaghaz hi mein jalne lagta hai

magar honTon tak aata hai dhuan aahista aahista

palaTna bhi agar chahen palaT kar ja nahin sakte

kahan se chal ke hum aae kahan aahista aahista

kahin lali bhari thaali na gir jae samundar mein

chala hai sham ka suraj kahan aahista aahista

abhi is dhup ki chhatri tale kuchh phul khilne do

zamin badlegi apna aasman aahista aahista

kise ab TuT ke rone ki fursat kar-e-duniya mein

chali jati hai ek rasm-e-fughan aahista aahista

mere dil mein kisi hasrat ke pas-andaz hone tak

nimaT hi jaega kar-e-jahan aahista aahista

makin jab nind ke sae mein sustane lagen 'tabish'

safar karte hain basti ke makan aahista aahista

(1182) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dahan Kholengi Apni Sipiyan Aahista Aahista In English By Famous Poet Abbas Tabish. Dahan Kholengi Apni Sipiyan Aahista Aahista is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Dahan Kholengi Apni Sipiyan Aahista Aahista for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Dahan Kholengi Apni Sipiyan Aahista Aahista in PDF.