Main Apne Ishq Ko KHush-e-ehtimam Karta Hua

main apne ishq ko KHush-e-ehtimam karta hua

maqam-e-shukr pe pahuncha kalam karta hua

ye gard-baad salamat guzarna chahta hai

mere charagh pe wahshat tamam karta hua

guzar raha hun kisi qariya-e-malamat se

qadim silsila-dari ko aam karta hua

to phir ye kaun hai nisfunnahaar ke hangam

qayam o raqs ki haalat mein sham karta hua

kabhi to khul ke bata ai meri riyazat-e-marg

main kaisa lagta hun fikr-e-dawam karta hua

zamanon baad bhi dasht-e-bala mein mera 'husain'

dikhai deta hai hujjat tamam karta hua

(2737) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Apne Ishq Ko KHush-e-ehtimam Karta Hua In English By Famous Poet Abbas Tabish. Main Apne Ishq Ko KHush-e-ehtimam Karta Hua is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Main Apne Ishq Ko KHush-e-ehtimam Karta Hua for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Main Apne Ishq Ko KHush-e-ehtimam Karta Hua in PDF.