Mere Badan Mein Lahu Ka KaTaw Aisa Tha

mere badan mein lahu ka kaTaw aisa tha

ki mera har-bun-e-mu ek ghaw aisa tha

bichhaDte waqt ajab uljhanon mein Dal gaya

wo ek shaKHs ki sidhe subhaw aisa tha

chali jo baat koi raat ke taaqub mein

to baat baat se nikli bahaw aisa tha

main pura pura rawana tha abjadon ki taraf

hisab-e-umr tera chal-chalaw aisa tha

gul-e-nashat ki KHushbu bhi bar thi mujh ko

mere mizaj mein gham ka rachaw aisa tha

kanar-e-lab mein na rahti thi mauj-e-goyai

tabiaton mein suKHan ka bahaw aisa tha

Thaharta kya meri KHakistari nigahon mein

tera wajud to raushan alaw aisa tha

nikal saki na koi bhi farar ki surat

sipah-e-zist ka mujh par paDaw aisa tha

na chah kar bhi use dil se chahte the hum

kisi ki lag mein 'tabish' lagaw aisa tha

(1480) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Badan Mein Lahu Ka KaTaw Aisa Tha In English By Famous Poet Abbas Tabish. Mere Badan Mein Lahu Ka KaTaw Aisa Tha is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Mere Badan Mein Lahu Ka KaTaw Aisa Tha for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Mere Badan Mein Lahu Ka KaTaw Aisa Tha in PDF.