Wo Kaun Hai Jo Pas-e-chashm-e-tar Nahin Aata

wo kaun hai jo pas-e-chashm-e-tar nahin aata

samajh to aata hai lekin nazar nahin aata

agar ye tum ho to sabit karo ki ye tum ho

gaya hua to koi lauT kar nahin aata

ye dil bhi kaisa shajar hai ki jis ki shaKHon par

parinde aate hain lekin samar nahin aata

ye jama KHarch zabani hai us ke bare mein

koi bhi shaKHs use dekh kar nahin aata

hamari KHak pe andhi hawa ka pahra hai

use KHabar hai yahan kuza-gar nahin aata

ye baat sach hai ki is ko bhula diya main ne

magar yaqin mujhe is baat par nahin aata

nazar jamae rakhunga main chand par 'tabish'

ki jab talak ye parinda utar nahin aata

(1436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kaun Hai Jo Pas-e-chashm-e-tar Nahin Aata In English By Famous Poet Abbas Tabish. Wo Kaun Hai Jo Pas-e-chashm-e-tar Nahin Aata is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Wo Kaun Hai Jo Pas-e-chashm-e-tar Nahin Aata for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Wo Kaun Hai Jo Pas-e-chashm-e-tar Nahin Aata in PDF.