Ye Kis Ke KHauf Ka Galiyon Mein Zahr Phail Gaya

ye kis ke KHauf ka galiyon mein zahr phail gaya

ki ek nash ke manind shahr phail gaya

nahin giraft mein ta-hadd-e-KHak ka manzar

simaT gain meri banhen ki dahr phail gaya

tujhe qarib samajhte the ghar mein baiThe hue

teri talash mein nikle to shahr phail gaya

main jis taraf bhi chala jaun jaan se jaun

bichhaD ke tujh se to lagta hai dahr phail gaya

makan makan se nikla ki jaise baat se baat

misal-e-qissa-e-hijran ye shahr phail gaya

bacha na koi teri dhup ki tamazat se

tera jamal ba-andaz-e-qahr phail gaya

ye mauj mauj bani kis ki shakl si 'tabish'

ye kaun Dub ke bhi lahr lahr phail gaya

(1486) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kis Ke KHauf Ka Galiyon Mein Zahr Phail Gaya In English By Famous Poet Abbas Tabish. Ye Kis Ke KHauf Ka Galiyon Mein Zahr Phail Gaya is written by Abbas Tabish. Read famous Poem Ye Kis Ke KHauf Ka Galiyon Mein Zahr Phail Gaya for youth and Student by Abbas Tabish. Free Download Ye Kis Ke KHauf Ka Galiyon Mein Zahr Phail Gaya in PDF.