Had-e-ufuq Par Sara Kuchh Viran Ubharta Aata Hai

had-e-ufuq par sara kuchh viran ubharta aata hai

manzar ke kho jaane ka imkan ubharta aata hai

pas-manzar mein 'feed' hue jate hain insani kirdar

focus mein rafta rafta shaitan ubharta aata hai

pichhe pichhe Dub rahi hain umr-e-rawan ki manfaten

aage aage ek bhaari nuqsan ubharta aata hai

jaise main dabta jata hun un aaankhon ke bojh tale

dil par do ashkon ka ek ehsan ubharta aata hai

ek tashannuj ek hichki phir ek nili zahrili qai

kya kuchh likh dene jaisa haijaan ubharta aata hai

'saz' meri jaanib uThti hai raat gae angusht-e-alast

ruh mein ek bhula-bisra paiman ubharta aata hai

(978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Had-e-ufuq Par Sara Kuchh Viran Ubharta Aata Hai In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Had-e-ufuq Par Sara Kuchh Viran Ubharta Aata Hai is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Had-e-ufuq Par Sara Kuchh Viran Ubharta Aata Hai for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Had-e-ufuq Par Sara Kuchh Viran Ubharta Aata Hai in PDF.