Lamha-e-taKHliq BaKHsha Usne Mujhko Bhik Mein

lamha-e-taKHliq baKHsha us ne mujh ko bhik mein

main ne lauTaya use ek nazm ki taknik mein

baam-o-dar ki raushni phir kyun bulati hai mujhe

main nikal aaya tha ghar se ek shab-e-tarik mein

faisle mahfuz hain aur fasle hain barqarar

gard uDti hai yaqin ki wadi-e-tashkik mein

si ke phaila dun bisat-e-fan pe main daman-e-chaak

Dor to guzre nazar ki sozan-e-barik mein

main ziyarat-gah-e-agahi se lauT aaya hun dost

phul laya hun alam ke hadiya-e-tabrik mein

bol mere sur ko chhute chhute rah jate hain 'saz'

aah ye kaisi kasar hai dard ki tahrik mein

(991) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamha-e-taKHliq BaKHsha Usne Mujhko Bhik Mein In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Lamha-e-taKHliq BaKHsha Usne Mujhko Bhik Mein is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Lamha-e-taKHliq BaKHsha Usne Mujhko Bhik Mein for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Lamha-e-taKHliq BaKHsha Usne Mujhko Bhik Mein in PDF.