Aawaz Ke Moti

sher ke jadugar sangit ke sahir

misron aur dhunon ke KHali sipon ke kashkol uThae

afsurda maghmum khaDe hain

suni aankhon mein TuTi ummid liye

aawaz ke un nauras qatron ki

jo KHali sipon mein amrit ban kar Tapken

aur izhaar guhar ban jae

lafz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar

be-harkat be-jaan dhare hain

un honTon ki hasrat mein

jin ki pechida tarsil KHamida jumbish

saut o bayan ko mani ki sau jihten baKHsha karti thi

yaad mein us pur-nur dahan ki

jis se ubalti tah-dar-tah aawaz ke raushan jadu se

shabd suron mein ghul jate the

nok-e-qalam se barbat ke taron tak jalte dagh

aab-e-sada se dhul jate the

(us ke dilkash git hawaon ke honTon par sadiyon tak mahfuz rahenge)

shor bhari duniya ki dukhi tanhai mein

umr ki jis manzil pe jis jiwan ki Dagar par

jazbon ki jis rahguzar par

dil ka musafir pal-do-pal ko Thahrega

us ki sada ke hamdam hath

bujhi hui bezar samaat ke shane thapkenge

man ka dukh banTenge

ranj KHushi mausam tyauhaar

wasl judai dard qarar

ummidon ki masti TuTe KHwabon ki uljhan

zulm baghawat ganw watan

ahd-e-kuhan ke ramz nae yug ki tafsiren

ishq ibaadat aaina-KHane tanwiren

har ghar har mahfil us ki aawaz ke moti

baam-e-hawa se barsenge

aah magar

alfaz ki bandish tal ki sangat raqs ke tewar

us ke dhun ke nae ujalon nae ufuq ko

rahti duniya tak tarsenge

(1263) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawaz Ke Moti In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Aawaz Ke Moti is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Aawaz Ke Moti for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Aawaz Ke Moti in PDF.