Auj-bin-unuq

shahr ki sab se baDi hotel ki chhat par

us ka sar manDla raha tha

aur sahil ke qarib

sard aur mahfuz tah-KHane ki tah ko

pair us ka chhu raha tha

hae wo kitna baDa tha!

us ke daen hath mein jakDe hue the

kar-KHane kampaniyan bazar bank

aur baen hath par us ke dhare the

bar theTar hoTlen jue ke adde qahba-KHane

sar-nigun us ke anguThon ke ishaaron par siyasat ki mashinon ke baTan

aahani shanon par us ke

be-zamin be-ashiyan kale parinde jhulte the

dum nacha kar par phula kar

har ghaDi us ko hawa ka ruKH batate

us ki sanson ki sifarish ki faza mein ji rahe the

naf us ki markaz-e-saql-e-zamana

peT us ka, peT bharne ke wasael ka KHazana

wo saDak se daftaron se aur gharon se

rengte baune uThata

apni kuhni aur kalai par chalata

hasab-e-mansha zaiqe ke taur par un ko chabaata ja raha tha

us ka saya chaar jaanib shahr par chhaya hua tha

hae wo kitna baDa tha!

jaan lekin us qawi-haikal ki us ke gardan-o-sar mein na thi

jaan thi TaKHnon mein us ki

us ke TaKHne

sard aur mahfuz tah-KHane ki tah se thoDa upar

dur tak phaile hue be-ruh sahil par ayan the

aur wahin ek dil-zada bezar 'musa'

shahr ki sab se baDi hotel ki chhat ko chhu na sakne se KHafif

na-balad TaKHnon ki kamzori se dew-e-asr ki

apne imkan aur irade ke asa ki zarb se na-ashna

nim-murda sard be-his ret par soya hua tha

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Auj-bin-unuq In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Auj-bin-unuq is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Auj-bin-unuq for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Auj-bin-unuq in PDF.