Be-nishan Hone Se Pahle

zindagi ek dur tak sangit thi ab shor hai

han magar is shor ke bikhraw mein

be-mahaba saut ke Takraw mein

shayad abhi andoKHta kuchh zer-o-bam hon

aao hum tum

koi zer-o-bam talashen

koi pech-o-KHam tarashen

aur is tartib-kari ki shuuri koshishon ko

la-shuuri naghmagi ki aaKHiri miTti hui si gunj se angez kar ke

ek shab

koi ek aahang de den

is se pahle ki ye shor-e-na-tamam

sur-e-israfil ke itmam mein kho jae

hashr uTThe aur qayamat aae

aur hum ko jhonk de aawaz ke ek munqat'a rishte ke dozaKH mein

faisla kar de hamare darmiyan

ek daimi KHud-na-shanasi ke jahannam ka

is se pahle

aao hum tum

is KHalij-e-na-rasai par

sada ke pul bana den

be-nishan hone se pahle

is zamin par aaKHiri pahchan ki duniya basa len

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-nishan Hone Se Pahle In English By Famous Poet Abdul Ahad Saaz. Be-nishan Hone Se Pahle is written by Abdul Ahad Saaz. Read famous Poem Be-nishan Hone Se Pahle for youth and Student by Abdul Ahad Saaz. Free Download Be-nishan Hone Se Pahle in PDF.