Naqsh-e-dil Hai Sitam Judai Ka

naqsh-e-dil hai sitam judai ka

shauq phir kis ko aashnai ka

chakhte hain ab maza judai ka

ye natija hai aashnai ka

un ke dil ki kudurat aur baDhi

zikr kijiye agar safai ka

dekh to sang-e-astan pe tere

hai nishan kis ki jabha-sai ka

tere dar ka gada jo hai ai dost

aish karta hai baadshai ka

duKHtar-e-raz ne kar diya baatil

mujh ko dawa tha parsai ka

karte hain ahl-e-asman charcha

mere nalon ki na-rasai ka

kaT Dalo agar zaban pe mere

harf aaya ho aashnai ka

kar ke sadqe na chhoD den 'nassaKH'

dil ko dhaDka hai kyun rihai ka

(1082) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh-e-dil Hai Sitam Judai Ka In English By Famous Poet Abdul Ghafoor Nassakh. Naqsh-e-dil Hai Sitam Judai Ka is written by Abdul Ghafoor Nassakh. Read famous Poem Naqsh-e-dil Hai Sitam Judai Ka for youth and Student by Abdul Ghafoor Nassakh. Free Download Naqsh-e-dil Hai Sitam Judai Ka in PDF.