Phir Rag-e-shoala-e-jaan-soz Mein Nashtar Guzra

phir rag-e-shoala-e-jaan-soz mein nashtar guzra

nala kyun aabla-e-dil se ulajh kar guzra

main hun dil-dari-e-afsun-e-wafa par nazan

jo raqibon pe na guzra tha wo mujh par guzra

kya muhit-e-mai-e-be-rang mein tufan aaya

josh-e-rang anjuman-e-naz se bahar guzra

tishna-e-hasrat-e-jawed hun main kya jaanun

kyun gale se mere talKHaba-e-kausar guzra

aao mere dil-e-afsurda ki tamkin dekho

jao is kashmakash-e-naz se main dar-guzara

luT gai jaan to ummid ke pahlu DhunDe

miT gai rah to andesha-e-rahbar guzra

is takalluf se gai umr-e-giran-maya 'wafa'

ek dam sainkaDon barson ke barabar guzra

(1280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Rag-e-shoala-e-jaan-soz Mein Nashtar Guzra In English By Famous Poet Abdul Hadi Wafa. Phir Rag-e-shoala-e-jaan-soz Mein Nashtar Guzra is written by Abdul Hadi Wafa. Read famous Poem Phir Rag-e-shoala-e-jaan-soz Mein Nashtar Guzra for youth and Student by Abdul Hadi Wafa. Free Download Phir Rag-e-shoala-e-jaan-soz Mein Nashtar Guzra in PDF.