Bahaar Ban Ke KHizan Ko Na Yun Dilasa De

bahaar ban ke KHizan ko na yun dilasa de

nigahen pher le apni na KHud ko dhoka de

masaf-e-zist hai bhar de lahu se jam mera

na muskura ke mujhe saghar-e-tamanna de

khaDa hua hun sar-e-rah muntazir kab se

ki koi guzre to gham ka ye bojh uThwa de

wo aankh thi ki badan ko jhulas gai qurbat

magar wo shola nahin ruh ko jo garma de

hujum-e-gham wo raha umr bhar dar-e-dil par

KHushi isi mein rahi ye hujum-e-rasta de

likha hai kya mere chehre pe tu jo sharmaya

zaban se na bata aaina hi dikhla de

main laDkhaDa sa gaya hun wafa ke wade par

pakaD ke hath mujhe ghar talak to pahuncha de

sukut-e-anjum-o-mah ne chhupa liya hai jise

jhuki nazar na kisi ko wo raaz batla de

har ek dard ka darman hai log kahte hain

magar wo dard 'naimi' jo KHud masiha de

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar Ban Ke KHizan Ko Na Yun Dilasa De In English By Famous Poet Abdul Hafiz Naeemi. Bahaar Ban Ke KHizan Ko Na Yun Dilasa De is written by Abdul Hafiz Naeemi. Read famous Poem Bahaar Ban Ke KHizan Ko Na Yun Dilasa De for youth and Student by Abdul Hafiz Naeemi. Free Download Bahaar Ban Ke KHizan Ko Na Yun Dilasa De in PDF.