Is Se Pahle Ki Hamein Ahl-e-jafa Ruswa Karen

is se pahle ki hamein ahl-e-jafa ruswa karen

apni jaan de kar wafa karne ka hum wada karen

aao shabnam ki tarah ban jaen taqdir-e-chaman

kyun kali ban kar khilen aur khil ke murjhaya karen

gulshan-e-hasti mein hum sawan ke baadal ki tarah

jhum kar uTTha karen aur TuT kar barsa karen

KHaka-e-ulfat mein KHun bharna tha hum ne bhar diya

log hum ko ba-wafa ya be-wafa samjha karen

apni aankhon ka samundar bah ke to KHamosh hai

dil ke andar ki sulagti aag ko hum kya karen

ek hi chullu hai kafi ahl-e-ghairat ke liye

Dub marne ke liye kyun KHwahish-e-dariya karen

kho ke kya paya hai hum ne pa ke kya kuchh kho diya

aaine mein waqt ke saqi ye andaza karen

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Se Pahle Ki Hamein Ahl-e-jafa Ruswa Karen In English By Famous Poet Abdul Hameed Saqi. Is Se Pahle Ki Hamein Ahl-e-jafa Ruswa Karen is written by Abdul Hameed Saqi. Read famous Poem Is Se Pahle Ki Hamein Ahl-e-jafa Ruswa Karen for youth and Student by Abdul Hameed Saqi. Free Download Is Se Pahle Ki Hamein Ahl-e-jafa Ruswa Karen in PDF.