Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai

aaj phir ruh mein ek barq si lahraati hai

dil ki gahrai se rone ki sada aati hai

yun chaTakti hain KHarabaat mein jaise kaliyan

tishnagi saghar-e-labrez se Takraati hai

shola-e-gham ki lapak aur mera nazuk sa mizaj

mujh ko fitrat ke rawayye pe hansi aati hai

maut ek amr-e-musallam hai to phir ai saqi

ruh kyun zist ke aalam se ghabraati hai

so bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai

ab to rah rah ke sitaron ko bhi nind aati hai

aur to dil ko nahin hai koi taklif 'adam'

han zara nabz kisi waqt Thahar jati hai

(1102) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai in PDF.