Ai Saqi-e-mah-wash Gham-e-dauran Nahin UThta

ai saqi-e-mah-wash gham-e-dauran nahin uThta

darwesh ke hujre se ye mehman nahin uThta

kahte the ki hai bar-e-do-alam bhi koi chiz

dekha hai to ab bar-e-gareban nahin uThta

kya mere safine hi ki dariya ko khaTak thi

kya baat hai ab kyun koi tufan nahin uThta

kis naqsh-e-qadam par hai jhuka roz-e-azal se

kis wahm mein sajde se bayaban nahin uThta

be-himmat-e-mardana masafat nahin kaTti

be-azm-e-musammam qadam aasan nahin uThta

yun uThti hain angDai ko wo marmarin banhen

jaise ki 'adam' taKHt-e-sulaiman nahin uThta

(1150) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Saqi-e-mah-wash Gham-e-dauran Nahin UThta In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Ai Saqi-e-mah-wash Gham-e-dauran Nahin UThta is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Ai Saqi-e-mah-wash Gham-e-dauran Nahin UThta for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Ai Saqi-e-mah-wash Gham-e-dauran Nahin UThta in PDF.