Darogh Ke Imtihan-kade Mein Sada Yahi Karobar Hoga

darogh ke imtihan-kade mein sada yahi karobar hoga

jo baDh ke taid-e-haq karega wahi sazawar-e-dar hoga

bila-gharaz sada sada baaton se Dal den rasm dosti ki

jo silsila is tarah chalega wo laziman paedar hoga

chalo mohabbat ki be-KHudi ke hasin KHalwat-kade mein baiThen

ajib masrufiyat rahegi na ghair hoga na yar hoga

tere gulistan ki aabru hai mahak teri infiradiyat ki

tu kasmapursi se bujh bhi jae to ghairat-e-nau-bahaar hoga

jahan na tu ho na koi hamdard ho na koi sharif dushman

main sochta hun mujhe wo mahaul kis tarah sazgar hoga

bahisht mein bhi janab-e-zahid tumhein na tarjih mil sakegi

wahan bhi KHush-zauq aasiyon ka tapak se intizar hoga

'adam' ki shab-KHeziyon ke ahwal yun sunate hain us ke mahram

ki sunne wale ye man jaen koi tahajjud-guzar hoga

(1296) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darogh Ke Imtihan-kade Mein Sada Yahi Karobar Hoga In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Darogh Ke Imtihan-kade Mein Sada Yahi Karobar Hoga is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Darogh Ke Imtihan-kade Mein Sada Yahi Karobar Hoga for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Darogh Ke Imtihan-kade Mein Sada Yahi Karobar Hoga in PDF.