Hasin Naghma-sarao! Bahaar Ke Din Hain

hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain

labon ki jot jalao! bahaar ke din hain

takallufat ka mausam guzar gaya sahab!

naqab ruKH se uThao bahaar ke din hain

gulon ki sej to tauhin hai hasinon ki

dilon ki sej bichhao bahaar ke din hain

bahaar bit gai to tumhaari kya izzat

sitam-zarif ghaTao! bahaar ke din hain

hai umr-e-rafta se parKHash kya bhala hum ko

qarib hai to bulao! bahaar ke din hain

mughanniyo! tumhein kahte hain hatif-e-rangin

saman-e-baron ko jagao! bahaar ke din hain

ye angbin si raaten baDi muqaddas hain

dilon ke dip jalao! bahaar ke din hain

'adam' ne tauba to kar li mughanniyo! lekin

tum us ko rah pe lao bahaar ke din hain

(1438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasin Naghma-sarao! Bahaar Ke Din Hain In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Hasin Naghma-sarao! Bahaar Ke Din Hain is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Hasin Naghma-sarao! Bahaar Ke Din Hain for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Hasin Naghma-sarao! Bahaar Ke Din Hain in PDF.