Itna To Dosti Ka Sila Dijiye Mujhe

itna to dosti ka sila dijiye mujhe

apna samajh ke zahr pila dijiye mujhe

uTThe na ta-ki aap ki jaanib nazar koi

jitni bhi tohmaten hain laga dijiye mujhe

kyun aap ki KHushi ko mera gham kare udas

ek talKH hadisa hun bhula dijiye mujhe

sidq-o-safa ne mujh ko kiya hai bahut KHarab

makr-o-riya zarur sikha dijiye mujhe

main aap ke qarib hi hota hun har ghaDi

mauqa kabhi paDe to sada dijiye mujhe

har chiz dastiyab hai bazar mein 'adam'

jhuTi KHushi KHarid ke la dijiye mujhe

(1415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna To Dosti Ka Sila Dijiye Mujhe In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Itna To Dosti Ka Sila Dijiye Mujhe is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Itna To Dosti Ka Sila Dijiye Mujhe for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Itna To Dosti Ka Sila Dijiye Mujhe in PDF.