Jahan Wo Zulf-e-barham Kargar Mahsus Hoti Hai

jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai

wahan Dhalti hui har dopahar mahsus hoti hai

wahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsus hoti hai

kami jis ki barabar umr bhar mahsus hoti hai

jatan bhi kya hasin sujha hai tujh ko pyar karne ka

teri surat mujhe apni nazar mahsus hoti hai

gali kuchon mein sehn-e-mai-kada ka rang hota hai

mujhe duniya tera kaif-e-nazar mahsus hoti hai

zara aage chaloge to izafa ilm mein hoga

mohabbat pahle pahle be-zarar mahsus hoti hai

ye do patthar na jaane kab se aapas mein hain wabasta

jabin apni tumhaara sang-e-dar mahsus hoti hai

kabhi sach to nahin us aankh ne bola magar phir bhi

rawayye mein nihayat mo'atabar mahsus hoti hai

adam ab doston ki be-ruKHi ki hai ye kaifiyyat

khaTakti to nahin itni magar mahsus hoti hai

(1389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Wo Zulf-e-barham Kargar Mahsus Hoti Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Jahan Wo Zulf-e-barham Kargar Mahsus Hoti Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Jahan Wo Zulf-e-barham Kargar Mahsus Hoti Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Jahan Wo Zulf-e-barham Kargar Mahsus Hoti Hai in PDF.