Saqi Sharab La Ki Tabiat Udas Hai

saqi sharab la ki tabiat udas hai

mutrib rubab uTha ki tabiat udas hai

ruk ruk ke saz chheD ki dil mutmain nahin

tham tham ke mai pila ki tabiat udas hai

chubhti hai qalb o jaan mein sitaron ki raushni

ai chand Dub ja ki tabiat udas hai

mujh se nazar na pher ki barham hai zindagi

mujh se nazar mila ki tabiat udas hai

shayad tere labon ki chaTak se ho ji bahaal

ai dost muskura ki tabiat udas hai

hai husn ka fusun bhi ilaj-e-fasurdagi

ruKH se naqab uTha ki tabiat udas hai

main ne kabhi ye zid to nahin ki par aaj shab

ai mah-jabin na ja ki tabiat udas hai

imshab gurez-o-ram ka nahin hai koi mahal

aaghosh mein dar aa ki tabiat udas hai

kaifiyyat-e-sukut se baDhta hai aur gham

qissa koi suna ki tabiat udas hai

yunhi durust hogi tabiat teri 'adam'

kam-baKHt bhul ja ki tabiat udas hai

tauba to kar chuka hun magar phir bhi ai 'adam'

thoDa sa zahr la ki tabiat udas hai

(3712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saqi Sharab La Ki Tabiat Udas Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Saqi Sharab La Ki Tabiat Udas Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Saqi Sharab La Ki Tabiat Udas Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Saqi Sharab La Ki Tabiat Udas Hai in PDF.