Tauba Ka Takalluf Kaun Kare Haalat Ki Niyyat Thik Nahin

tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin

rahmat ka irada bigDa hai barsat ki niyyat Thik nahin

ai shama bachana daman ko ismat se mohabbat arzan hai

aaluda-nazar parwanon ke jazbaat ki niyyat Thik nahin

kal qata talluq kar lena is waqt to duniya meri hai

ye raat ki qasmen jhuTi hain ye raat ki niyyat Thik nahin

aisa nazar aata hai jaise ye shai mujhe pagal kar degi

thoDi si tawajjoh bar-haq hai bohtat ki niyyat Thik nahin

raftar-e-zamana ka lahja saffak dikhai deta hai

bar-waqt koi tadbir karo aafat ki niyyat Thik nahin

mai-KHane ki rasm-o-rah mein bhi ho jae na shamil khoT kahen

KHuddam fareb-amada hain KHidmat ki niyyat Thik nahin

thoDa sa kaDa gar dil ko karun aadat badal to sakti hain

par asl musibat to ye hai aadat ki niyyat Thik nahin

Darta hun 'adam' phir aaj kahin shoala na uThe bijli na gire

barbat ki tabiat uljhi hai naghmat ki niyyat Thik nahin

(2722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tauba Ka Takalluf Kaun Kare Haalat Ki Niyyat Thik Nahin In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Tauba Ka Takalluf Kaun Kare Haalat Ki Niyyat Thik Nahin is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Tauba Ka Takalluf Kaun Kare Haalat Ki Niyyat Thik Nahin for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Tauba Ka Takalluf Kaun Kare Haalat Ki Niyyat Thik Nahin in PDF.