Wo Hai Hairat-faza-e-chashm-e-mani Sab Nazaron Mein

wo hai hairat-faza-e-chashm-e-mani sab nazaron mein

taDap bijli mein us ki iztirab us ka sitaron mein

madad ai iztirab-e-shauq tu jaan-e-tamanna hai

nikal ai sabr tera kaam kya hai be-qararon mein

ye kis ka nam le kar jaan di bimar-e-ulfat ne

ye kis zalim ka charcha rah gaya timar-daron mein

zara si chheD bhi kafi hai mizrab-e-mohabbat ki

ki naghme muztarib hain barbat-e-hasti ke taron mein

kahan ka shaghl ab to daur hai KHun-naba-e-gham ka

wahi qismat mein thi jo pi chuke agli bahaaron mein

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Hai Hairat-faza-e-chashm-e-mani Sab Nazaron Mein In English By Famous Poet Abdul Majeed Salik. Wo Hai Hairat-faza-e-chashm-e-mani Sab Nazaron Mein is written by Abdul Majeed Salik. Read famous Poem Wo Hai Hairat-faza-e-chashm-e-mani Sab Nazaron Mein for youth and Student by Abdul Majeed Salik. Free Download Wo Hai Hairat-faza-e-chashm-e-mani Sab Nazaron Mein in PDF.