Waqt Ab Sar Pe Wo Aaya Hai Ki Sar Yaad Nahin

waqt ab sar pe wo aaya hai ki sar yaad nahin

tere diwanon ko bhi ab tera dar yaad nahin

hae wo shab jo tere wada-e-shab mein guzri

hae wo shab hai ki jis shab ki sahar yaad nahin

zindagi kaise kaTi dawar-e-mahshar ye na puchh

wo safar yaad to hai raKHt-e-safar yaad nahin

mere aamal pe jae to ye samjhunga tujhe

yaad hai daman-e-tar dida-e-tar yaad nahin

pyar se ab bhi wo takte hain mujhe par un ko

jis ne dil luT liya tha wo nazar yaad nahin

umr-bhar tham ke us shoKH ka daman roe

'soz' kya us pe hua us ka asar yaad nahin

(949) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ab Sar Pe Wo Aaya Hai Ki Sar Yaad Nahin In English By Famous Poet Abdul Malik Soz. Waqt Ab Sar Pe Wo Aaya Hai Ki Sar Yaad Nahin is written by Abdul Malik Soz. Read famous Poem Waqt Ab Sar Pe Wo Aaya Hai Ki Sar Yaad Nahin for youth and Student by Abdul Malik Soz. Free Download Waqt Ab Sar Pe Wo Aaya Hai Ki Sar Yaad Nahin in PDF.