Jab Bhi Gulshan Mein Chali ThanDi Hawa

jab bhi gulshan mein chali ThanDi hawa

aur pagal kar gai ThanDi hawa

pahle to aisi na thi ThanDi hawa

ho gai kyun dil-jali ThanDi hawa

sun ke us ki baat ghunche hans paDe

kan mein kya kah gai ThanDi hawa

un ke honTon ka jo kar aai tawaf

pa gai kuchh naghmagi ThanDi hawa

hai dil-e-nakaam se achchhi nahin

chheD-KHani bhi teri ThanDi hawa

sach bata meri tarah kya un ki bhi

be-qarari thi baDhi ThanDi hawa

zaKHm-e-dil jis se hua kuchh mundamil

kucha-e-jaanan ki thi ThanDi hawa

dekh lete hum bhi tera kuchh kamal

khilti gar dil ki kali ThanDi hawa

ek pareshan dil ka kah degi salam

milna un se gar kabhi ThanDi hawa

'tarzi' aisa hai asir-e-gham tera

haal par jis ke hansi ThanDi hawa

(1235) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi Gulshan Mein Chali ThanDi Hawa In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Jab Bhi Gulshan Mein Chali ThanDi Hawa is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Jab Bhi Gulshan Mein Chali ThanDi Hawa for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Jab Bhi Gulshan Mein Chali ThanDi Hawa in PDF.