Meri Nigah Ko Jalwon Ka Hausla De Do

meri nigah ko jalwon ka hausla de do

guzar-basar ka koi bhi to aasra de do

tumhaari bazm se jata hai na-murad koi

safar-ba-KHair ki jaan-e-wafa dua de do

ata pe harf na aa jae mangne se mere

KHuda ho mere to phir hasb-e-muddaa de do

miTa do meri nigahon se tum nuqush tamam

wagarna dusra mujh ko ek aaina de do

fareb-e-sharh-e-tamanna bhi kha le ab ye dil

labon ko jurat-e-izhaar-e-muddaa de do

junun-nawaz-o-junun-KHez-o-sad-junun-saman

tum apne jalwon ko aisi koi ada de do

adu ko shikwa-e-lazzat koi na rah jae

mere lahu ko kuchh aisa hi zaiqa de do

ghazal ki aabru tum ho ghazal mujhe mahbub

shuur-e-fikr ko uslub-e-KHush-numa de do

ye dil to dushman-e-jaani hai ek muddat se

jo gham-nawaz ho aisa gham-ashna de do

libas-e-kohna ghazal ka utar kar 'tarzi'

ba-faiz tab-e-rasa ek nai qaba de do

(1162) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nigah Ko Jalwon Ka Hausla De Do In English By Famous Poet Abdul Mannan Tarzi. Meri Nigah Ko Jalwon Ka Hausla De Do is written by Abdul Mannan Tarzi. Read famous Poem Meri Nigah Ko Jalwon Ka Hausla De Do for youth and Student by Abdul Mannan Tarzi. Free Download Meri Nigah Ko Jalwon Ka Hausla De Do in PDF.