Na Ada Mujhse Hua Us Sitam-ijad Ka Haq
na ada mujh se hua us sitam-ijad ka haq
meri gardan pe raha KHanjar-e-bedad ka haq
naseho gar na sunun main meri qismat ka qusur
tum ne irshad kiya jo ki hai irshad ka haq
yaad to haq ki tujhe yaad hi par yaad rahi
yar dushwar hai wo yaad jo hai yaad ka haq
apni taswir pe sadqe tere sadqe kar use
isi surat se ada howega bahzad ka haq
haq ko baatil koi kis tarah se kah de ai but
kahin sani nahin us husn-e-KHuda-dad ka haq
jaan-kani pesha ho jis ka wo lahaq hai tera
tujh pe shirin hai na KHusraw ka na farhad ka haq
bar-e-ehsan se nahin sar bhi uTha sakta hun
mere sar par hi raha us mere jallad ka haq
sun ke kahta hai yahan kaun hai sunta mat sun
sunne wala hi suna is meri fariyaad ka haq
wahi insan hai 'ehsan' ki jise ilm hai kuchh
haq ye hai bap se afzun rahe ustad ka haq
(1100) Peoples Rate This