Sun Rakh O KHak Mein Aashiq Ko Milane Wale

sun rakh o KHak mein aashiq ko milane wale

arsh-e-azam ke ye nale hain bulane wale

ye sada sunte hain us kuche ke jaane wale

jaan kar jaan na kho kaun hai aane wale

chain tujh ko bhi na ho mujh ko satane wale

tu bhi ThanDa na rahe ji ke jalane wale

kab hain is dil se butan hath uThane wale

ye wo kafir hain ki masjid ke hain Dhane wale

jang hi gar tujhe manzur hai phir aankh laDa

ye bhi ek jang hai o aankh laDane wale

ki to ayyar si sazish hai wale ghuncha-dahan

chuTkiyon mein hain ye joban ke uDane wale

un ke hansne pe na ja un ke hansane se na hans

tere hansne pe jo hanste hain hansane wale

bin-bulae tere aa kar tujhe bahkate hain

saKHt na-KHwanda hain ye tujh ko paDhane wale

ashk-e-KHunin ki hun main sail mein Duba rahta

ye mera rang hai o pan chabane wale

yun gajar subh ka jaldi se baje wasl ki raat

are be-rahm are dil ke satane wale

guzri jo mujh pe so guzri hai na guzri tujh par

ghaDi ghaDiyal ki ghaDiyal bajaane wale

kyun na un nalon ko main pa-e-ba-zanjir rakhkhun

ai junun kaun hain ye ghul ke machane wale

jab kaha main ne ki sun haal kaha tan se ye

tum salamat raho ahwal sunane wale

panw ko hath lagaya tu laga kahne sarak

tujh ko qurban karun hath lagane wale

muttala matla-e-'ehsan' se tu ho rashk-e-qamar

tujh pe aashiq hue paigham ke lane wale

(1121) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sun Rakh O KHak Mein Aashiq Ko Milane Wale In English By Famous Poet Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Sun Rakh O KHak Mein Aashiq Ko Milane Wale is written by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Read famous Poem Sun Rakh O KHak Mein Aashiq Ko Milane Wale for youth and Student by Abdul Rahman Ehsan Dehlvi. Free Download Sun Rakh O KHak Mein Aashiq Ko Milane Wale in PDF.