Aag Sinon Mein Jala Kar Rakhiye

aag sinon mein jala kar rakhiye

KHwab aankhon mein basa kar rakhiye

rahaton se lage sadme bhi hain

dil ko mazbut bana kar rakhiye

id ka din hai gale mil lije

iKHtilafat haTa kar rakhiye

nafraten dil se nikal jaengi

hath dushman se mila kar rakhiye

tab-e-zanjir nahin hai dil ko

zulf-e-pechan ko saja kar rakhiye

yaad aa jaegi diwane ki

phul joDe mein laga kar rakhiye

jaane wala na kabhi aaega

dil mein yaadon ko basa kar rakhiye

ishq ki aag hai munh-zor 'salam'

apne daman ko bacha kar rakhiye

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aag Sinon Mein Jala Kar Rakhiye In English By Famous Poet Abdul Salam. Aag Sinon Mein Jala Kar Rakhiye is written by Abdul Salam. Read famous Poem Aag Sinon Mein Jala Kar Rakhiye for youth and Student by Abdul Salam. Free Download Aag Sinon Mein Jala Kar Rakhiye in PDF.