Kab Kare Qasd Yar Aawan Ka

kab kare qasd yar aawan ka

dil-e-viran ke basawan ka

ram mashuq agar howe aashiq

toD de sar raqib rawan ka

jhaD mat jaan tujhe KHuda ki sun

dil mera hai ghubar daman ka

jab phaDakta hai bijli jyun dil

jhaD lagati hai nayan sawan ka

bed-e-majnun kahoge 'yakru' kun

KHub laila sati hai baaman ka

(936) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Kare Qasd Yar Aawan Ka In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Kab Kare Qasd Yar Aawan Ka is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Kab Kare Qasd Yar Aawan Ka for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Kab Kare Qasd Yar Aawan Ka in PDF.