Tujh Qad Ki Ada Sarw-e-gulistan Sin Kahunga

tujh qad ki ada sarw-e-gulistan sin kahunga

jadu-e-nayan nargis-e-bustan sin kahunga

dekha hun tere lab pe main missi ki dhaDi kun

zulmat pe ja chashma-e-haiwan sin kahunga

mujh dil ki lagan tujh sin hai ai KHubi-e-mahfil

parwana naman sham-e-shabistan sin kahunga

paida kiya tujh shauq mein dil wusat-e-mashrab

yun haalat-e-dil koh-o-bayaban sin kahunga

dekha hun tujhe KHwab munin ai pari-paikar

is KHwab ke tain ja ke sulaiman sin kahunga

KHanjar sin nayan ke dil-e-'yakru' hua zaKHmi

ab dil ki tapish KHak-e-shahidan sin kahunga

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujh Qad Ki Ada Sarw-e-gulistan Sin Kahunga In English By Famous Poet Abdul Wahab Yakro. Tujh Qad Ki Ada Sarw-e-gulistan Sin Kahunga is written by Abdul Wahab Yakro. Read famous Poem Tujh Qad Ki Ada Sarw-e-gulistan Sin Kahunga for youth and Student by Abdul Wahab Yakro. Free Download Tujh Qad Ki Ada Sarw-e-gulistan Sin Kahunga in PDF.