Chandni Raat Mein Har Dard Sanwar Jata Hai

chandni raat mein har dard sanwar jata hai

jaane kya kya sar-e-ehsas bikhar jata hai

dekhte hum bhi hain kuchh KHwab magar hae re dil

har nae KHwab ki tabir se Dar jata hai

maut ka waqt muayyan hai to phir baat hai kya

kaun hai mujh mein jo har sans pe mar jata hai

dil mein gaD jati hai jab saat-e-mazi ki salib

waqt ruk jata hai insan guzar jata hai

(1201) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chandni Raat Mein Har Dard Sanwar Jata Hai In English By Famous Poet Abdullah Javed. Chandni Raat Mein Har Dard Sanwar Jata Hai is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Chandni Raat Mein Har Dard Sanwar Jata Hai for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Chandni Raat Mein Har Dard Sanwar Jata Hai in PDF.