Har Lamha Marg-o-zist Mein Paikar Dekhna

har lamha marg-o-zist mein paikar dekhna

khinchi hui hai waqt ne talwar dekhna

is dopahar ki dhup mein saya kahan mile

din Dhal chale to phir kahin diwar dekhna

ab to safar ke saKHt marahil hain aur hum

jab pas aae manzil-e-dildar dekhna

be-tabiyan hon lakh magar us ke ru-ba-ru

chhoDen na hath daman-e-pindar dekhna

ai maslahat ki past zaminon ke basiyo

kitni bulandiyan hain sar-e-dar dekhna

zarra bhi aaftab se kamtar nahin yahan

yaro magar ba-dida-e-bedar dekhna

'jawed' hum hain aur hai ehsas ka KHulus

yaron ke pas jhuT ke tumar dekhna

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Lamha Marg-o-zist Mein Paikar Dekhna In English By Famous Poet Abdullah Javed. Har Lamha Marg-o-zist Mein Paikar Dekhna is written by Abdullah Javed. Read famous Poem Har Lamha Marg-o-zist Mein Paikar Dekhna for youth and Student by Abdullah Javed. Free Download Har Lamha Marg-o-zist Mein Paikar Dekhna in PDF.