Apne Hone Ka Ek Ik Pal Tajraba Karte Rahe

apne hone ka ek ek pal tajraba karte rahe

nok-e-neza par bhi hum raqs-e-ana karte rahe

ek musalsal jang thi KHud se ki hum zinda hain aaj

zindagi hum tera haq yun bhi ada karte rahe

hath mein patthar na tha chehre pe wahshat bhi na thi

phir wo kya tha jis pe hum yun qahqaha karte rahe

kuchh na kuchh to pesh-e-manzar mein bhi shayad tha kahin

kuchh pas-e-manzar bhi hum aab-o-hawa karte rahe

be-talab baDhta raha har lamha qarz-e-jaan ka bojh

be-sabab hi har nafas KHud ko ada karte rahe

dur tak phaila diye kohsar jangal wadiyan

rizq aankhon ko diya har pal naya karte rahe

tum to ai KHushbu hawao us se mil kar aa gain

ek hum the zaKHm-e-tanhai hara karte rahe

zahr KHud bote rahe ujli hawaon mein 'kamal'

chand sanson ko bhi hum be-zaiqa karte rahe

(1174) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Hone Ka Ek Ik Pal Tajraba Karte Rahe In English By Famous Poet Abdullah Kamal. Apne Hone Ka Ek Ik Pal Tajraba Karte Rahe is written by Abdullah Kamal. Read famous Poem Apne Hone Ka Ek Ik Pal Tajraba Karte Rahe for youth and Student by Abdullah Kamal. Free Download Apne Hone Ka Ek Ik Pal Tajraba Karte Rahe in PDF.