Agar Ho KHauf-zada Taqat-e-bayan Kaisi

agar ho KHauf-zada taqat-e-bayan kaisi

nawa-e-haq na sunae to phir ziyan kaisi

uThao harf-e-sadaqat lahu ko garm karo

jo tir phenk nahin sakti wo kaman kaisi

unhen ye fikr ki meri sada ko qaid karen

mujhe ye ranj ki itni KHamoshiyan kaisi

hawa ke ruKH pe liye baiTha hun charagh apna

mere KHuda ne mujhe baKHsh di aman kaisi

hawa chale to use kaun rok sakta hai

uTha rakhi hai ye diwar darmiyan kaisi

agar ye mausam-e-gul hai to zard-ru kyun hai

dil-o-nazar pe ye kaifiyyat-e-KHizan kaisi

na tar tar qaba hai na dagh dagh badan

mujahidon ke saron se gai azan kaisi

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Ho KHauf-zada Taqat-e-bayan Kaisi In English By Famous Poet Abdur Rahim Nashtar. Agar Ho KHauf-zada Taqat-e-bayan Kaisi is written by Abdur Rahim Nashtar. Read famous Poem Agar Ho KHauf-zada Taqat-e-bayan Kaisi for youth and Student by Abdur Rahim Nashtar. Free Download Agar Ho KHauf-zada Taqat-e-bayan Kaisi in PDF.