Fareb-e-zar Mohabbat-nagar Khula Hua Hai

fareb-e-zar mohabbat-nagar khula hua hai

tumhaare KHwab ka mujh pe asar khula hua hai

main uD raha hun falak ta falak KHumar mein yun

ki mujh pe ek jahan-e-digar khula hua hai

ajib sada-dili hai meri tabiat mein

chala safar pe hun raKHt-e-safar khula hua hai

main jaanta hun ki kya hai ye aagahi ka azab

jo harf harf meri zat par khula hua hai

kahan khuli hain abhi us ki hairaten mujh par

jo ek jahan wara-e-nazar khula hua hai

ek intizar mein qaem hai is charagh ki lau

ek ehtimam mein kamre ka dar khula hua hai

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb-e-zar Mohabbat-nagar Khula Hua Hai In English By Famous Poet Abdurrahman Wasif. Fareb-e-zar Mohabbat-nagar Khula Hua Hai is written by Abdurrahman Wasif. Read famous Poem Fareb-e-zar Mohabbat-nagar Khula Hua Hai for youth and Student by Abdurrahman Wasif. Free Download Fareb-e-zar Mohabbat-nagar Khula Hua Hai in PDF.