Ab IKHtiyar Mein Maujen Na Ye Rawani Hai

ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai

main bah raha hun ki mera wajud pani hai

main aur meri tarah tu bhi ek haqiqat hai

phir is ke baad jo bachta hai wo kahani hai

tere wajud mein kuchh hai jo is zamin ka nahin

tere KHayal ki rangat bhi aasmani hai

zara bhi daKHl nahin is mein in hawaon ka

hamein to maslahatan apni KHak uDani hai

ye KHwab-gah ye aankhen ye mera ishq-e-qadim

har ek chiz meri zat mein purani hai

wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha

tamam umr usi din ki tarjumani hai

nawah-e-jaan mein bhaTakti hain KHushbuen jis ki

wo ek phul ki lagta hai raat-rani hai

iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin

main ji raha hun ye sanson ki KHush-gumani hai

(1141) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab IKHtiyar Mein Maujen Na Ye Rawani Hai In English By Famous Poet Abhishek Shukla. Ab IKHtiyar Mein Maujen Na Ye Rawani Hai is written by Abhishek Shukla. Read famous Poem Ab IKHtiyar Mein Maujen Na Ye Rawani Hai for youth and Student by Abhishek Shukla. Free Download Ab IKHtiyar Mein Maujen Na Ye Rawani Hai in PDF.