Safar Ke Baad Bhi Zauq-e-safar Na Rah Jae

safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae

KHayal-o-KHwab mein ab ke bhi ghar na rah jae

main sochta hun bahut zindagi ke bare mein

ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jae

bas ek KHauf mein hoti hai har sahar meri

nishan-e-KHwab kahin aankh par na rah jae

ye be-hisi to meri zid thi mere ajza se

ki mujh mein apne taaqub ka Dar na rah jae

hawa-e-sham tera raqs na-guzir sahi

ye meri KHak tere jism par na rah jae

usi ki shakl liya chahti hai KHak meri

so shahr-e-jaan mein koi kuza-gar na rah jae

guzar gaya ho agar qafila to dekh aao

pas-e-ghubar kisi ki nazar na rah jae

main ek or khaDa hun hisar-e-duniya ke

wo jis ki zid mein khaDa hun udhar na rah jae

(1619) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Ke Baad Bhi Zauq-e-safar Na Rah Jae In English By Famous Poet Abhishek Shukla. Safar Ke Baad Bhi Zauq-e-safar Na Rah Jae is written by Abhishek Shukla. Read famous Poem Safar Ke Baad Bhi Zauq-e-safar Na Rah Jae for youth and Student by Abhishek Shukla. Free Download Safar Ke Baad Bhi Zauq-e-safar Na Rah Jae in PDF.